Saneha 12 May: Azsar e nau tehqiqaat ke liye JIT tashkeel dainay ka hukum

Karachi : Sindh high court naay saneha 12 May ki azsar e nau tehqiqaat ke liye JIT  aur inquiry tribunal tashkeel dainay ka hukum day diya, tehqiqaat ki monitoring ke liye chief justice Sindh high court se senior judge muqarrar karne ki sifarish bhi kar di gayi .

Tafseelaat ke mutabiq Sindh high court mein saniha 12 May ki azsar e nau tehqiqaat se mutaliq case ki samaat hui, samaat mein adalat naay saneha ki azsar e nau  tehqiqaat ke liye JIT  aur inquiry tribunal tashkeel dainay ka hukum day diya .

adalat naay chief justice Sindh high court se monitoring ke liye senior judge muqarrar karne ki sifarish kar di jabkay soobai hukumat ko hukum diya gaya ke inquiry ke hawalay se Sindh high court ko inquiry ka khat likha jaye .

adalat naay tribunal ke dairakar ka bhi taayun kardiya aur kaha ke tehqiqati tribunal aman o Amaan kharab karne aur zimme daran ka taayun kere aur yeh bhi taayun kere ke kis ke hukum par rastay band aur shehar ka aman kharab kya gaya .

adalat naay ab tak honay wali tehqiqaat par sawal uthatay hue kaha ke kya is waqt ke cheif justice ko roknay ke liye wafaqi aur soobai hukumat ka gath jor tha? Malir City Court aur High Court ko mushtael hajhoom naay kis ke hukum par yarghamal banaya? police sharpasandon par qaboo panay mein kyun nakaam hui ?

Sindh high court naay 12 May aur is se qabal idaron mein rabton ki tafseelaat talab karlen aur kaha 12 May ko mumkina sorat e haal control karne ke liye hukaam naay kya ehkamaat diye? qanoon nafiz karne walay idaron ki nakami ka bhi taayun kya jaye aur bataya jaye police nay band rastay kholnay ke liye kya iqdamaat kiye thay ?

adalat nay kaha ke bataya jaye ke chief justice ki Karachi amad ke liye fool proof intizamat kiye gaye thay? istaqbaal karne walon ko kisi khaas jamaat naay nishana banaya? kisi khaas jamaat ke karkunaan naay nishana banaya to jamaat aur zimedaran ka taayun kya jaye .

Sindh high court ka kehna tha ke qanoon nafiz karne walay idaray shehrion ki jaan aur maal ke tahaffuz mein kyun nakaam hue? Sindh hukoomat naay 12 May 2007 ko police ki madad ke liye rangers ki madad li thi? Kiya Sindh hukumat aman o aman ki mumkina soorat e haal se aagah thi? aur ANP, PPP aur MQM aur deegar ko 12 May ko rally ki ijazat kyun di gayi ?

khayaal rahay darkhwast guzaar Iqbal kazmi naay case dobara suneney aur sanihay ki tehqiqaat ke liye adalti commission bananay ki istada ki thi jabkay adalti muavin nay commission bananay ke haq mein dalail diye ke do rukni bench azsar e nau tehqiqaat ke liye commission banaskti hai .

darkhwast mein Sabiq Saddar Parvez Musharraf , bani MQM, Sabiq Musheer akhla aur Mayor Karachi Waseem Akhter ko bhi fareeq banaya gaya hai aur kaha kaha gaya tha ke sabiq Daddar Parvez Musharraf ke hukum par MQM nay Karachi mein qatal aam kya, 2008 mein Sindh high court ke larger bench nay darkhwaston ko na qabil qarar day diya tha.

Sindh hukumat ki janib se commission bananay ki mukhalfat ki gayi aur muaqaff ikhtiyar kya gaya ke tamam mutasareen ko muawza ki adaigi bhi ki ja chuki hai .

yaad rahay ke chief justice Saqib Nisar nay 12 May 2018 ko high court ko 3 mah mein muqadma nimtanay ka hukum diya tha, jis ke baad saneha 12 May ki azsar e nau tehqiqaat ke muamlay par Sindh high court nay fareqain ke wukla samait adalti muavneen ke dalail sunaney ke baad faisla mehfooz karliya tha .

Wazeh rahay 12 May 2007 ko sabiq chief justice Iftikhar chaudry ki aamad par hungama aarai hui aur cheif justice ko Karachi airport par rok diya gaya tha, is douran mukhtalif maqamat par firing aur hungama aarai ke waqeat mein 50 se zayed afraad halaak hogaye thay .

Leave a Comment