Karachi: Bar e sageer kay musalmano ko elehda tashakhus, alag pehchan aur ek azad mulk ka tohfa dene walay Quaid e Azam Muhammad Ali Jinnah ki 70 ven barsi aaj aqeedat o ahteram say manaye jayegi.
Bani e Pakistan ki barsi par mukhtalif shehron main seminars, muzakron aur taqreeb ka ehtemam kiya jayega, poori quom bar e sageer ki is azeem shaksiyat ko dil ki gehraiyon say khiraaj e aqeedat pesh karaygi.
Quaid e azam Muhammad Ali Jinnah 25 december 1876 ko Karachi main peda huvay, musalmano kay huqooq aur alheda watan kay husool kay liye un thak jadojehad nay in ki sehat par manfi asraat martab kiye.
Sann1930 main unhen tap diq (TB ) jesa mozi marz lahaq huva, jisay unhon nay apni behan mohtarma fatima jinnah aur chand qareebi rufqa kay elava sab say posheeda rakha, qayam-e-Pakistan kay ek saal bad 11 September 1948 ko Qauid-e-Azam apnay khaliq haqeequi say jaa milay.
Leave a Comment